Mera naam hai Calendar…

Aaj se 20-25 saal pehle har family ka ek important member hua karta tha …. Calendar!!!!

Yun to har ghar ke deewar pe kisi choti si keel pe tanga hota tha main lekin mujhe sab pata hota tha.Sare tyohar aur chhutti sabko main hi bata tha. Meri kisi tareeq pe laal nishan sabko dur se dikh jata tha ki bhaiii iss din to chutti hone wali hai. Pure khandan ke bdays mujh par hi likhe jate the aur har hafte mujhe dekh kar hi sab rishtedaaron ko shubhkamnaen bheji jati thi . Shadi ki nyote ki jab chiththi aati thi to jane ki tareeq calender pe mark kar di jati thi. Kaam wali bai jis din nahi aayi wo mohar mujhe pe lagayi jati thi …dhoodhwale se kis din dhoodh Kum-jyada liya ye to mujhe hi yaad rakhna hota tha..paper wale ne kis din paper nahi dala uss din mujh pe cross banaya jata tha… dhobi kitne kapde le gaya aur kitne laya ….sabka hisab main hi rakhta tha … Kaam wali bai, paper wala dhoodhwala ,dhobhi sabko mujh pe vishwas hota… ki bhaiya calendar ka cross mark galat nahi ho sakta …..har mummy (homemaker)ki xl sheet tha main. Har papa ki office ki important meeting, notice ya court ki peshi ke liye mujhe hi tension rehta tha … itna bada laal-kala gola jo mujhe pe bana hota tha. Main school college wale baccho ka time table bhi ban jata tha.Tareeqon ke khano (boxes) me code words me bahot se kisse likhe hote the ….uffffff, aashiqon ka moral support hota tha main.

Shubh din … shubh mahurat mujhse se hi puche jate the ….yun samjhiye pariwarik pandit hota tha main .Har mahine ke naye panne ke sath uss mahine ka raashifal b main batata tha ….aur b bahot si atirikt seva main deta tha jaise Swapna fal …. Sapne me saanp dekha to kya hoga ye sirf mujhe hi pata hota tha ….ulte hath ki hatheli khujaye to paisa milega wagerah wagerag bhi main hi samjhata tha

Har kisi ki mujh pe nazar jarur padti thi. Pariwar ka hissa banke mujhe bhi bahot khushi milti thi. Itne kaam ka hota tha main ki saal khatam hone k baad bacchon k notebooks ka cover tak ban jata tha.

Aap ko lag rha hai ki main bhoot kaal me kyu baat kar rha hun…. Kya ab main ab nahi raha …. Ji haan sahab ab main gujar gaya.

Jaise purani peedhi ka jana aur nayi peedhi ka aana prakarti ka niyam hai waise hi meri jagah mere vanshajon ne le li … e-calendar e -notes, e-reminders ,xl sheet sab mere hi bete-beti naati pote hai ….. jo meri virasat ko badalte zamane se sath bakhoobi aage bada rhe hain. Maine apna daur Shaan se gujara aur uss daur walo ki yaadon me main aaj abhi bhi zinda hun 😀😀.

Bhulna nahi, mera naam hai … calendar

6 thoughts on “Mera naam hai Calendar…

Add yours

  1. You still exist among us. Nothing is planned without your consultation. तुम हमारे जिंदगी के हर पहलू के हिस्से थे और रहोगे हमेशा के लिए। रूप बदलेगा, अस्तित्व सार्वभौमिक है।

    Like

Leave a comment

Create a free website or blog at WordPress.com.

Up ↑